Meri family hindi me hi samajhti hai aur main chahti hu ki saari important baatein unhe bata saku. Pehli pregnancy hai toh thoda nervous hu. Koi simple si list ya basic precautions hindi me share kar sakta hai kya?
Haan simple hai, folic acid time pe lo, ghar ka taaza khana khao aur rest karo na. Bhaari saaman mat uthao aur khud se koi dawai mat lo. Doctor ke saare checkup aur test regular karwate raho.
Pani khoob piyo na aur thoda thoda khaate raho din mein. Raw ya bahar ka spicy khana abhi avoid karo. Walk karo lekin doctor ne allow kiya ho tabhi haan.